Friday 19 January 2018

Khud ko Khulaa Patra (Open Letter to Self)

Ranjan Baabu, Khush to bohot hoge tum aaj - badhi badhi celebrities ki tarah tumhaare naam bhi kisi ne khulaa patra, open letter likha hai ! Khud tum ne hi sahi. That means you have arrived!

By the way agar samajh na aaya ho, that line above was meant as satire, you fool. Ye khulaa patra isi baare mein hai ki apna Raita sameto, or as they say - get your act together. For thats all you are right now - a boondi ka faila hua raita with no social status attached.
Apne aas paas dekho - log kahaan se kahaan pohonch gaye. Paisa, shohrat, badhi badhi companiyon mein oonchi oonchi positions. Aur tum ? I mean main ? No I think tum is better. Aur tum kahaan ho aaj ? Wahi iPhone to iPhone upgrade karke apne aap ko fanne khan samajh rahe ho.
Zuckerburg ek site bana kar zabardast se bhi mast raees ho gaya. Tum bus dot com boom aur bust dono mein doosron ki sites par profilein hi banaate reh gaye. Mobile App ke boom mein bhi aap se kuchh khaas ukhadh na paya. Chindi si chaalis paise waali chalti purzi chu... I mean ghatiya apps ke 60 Rupaye de-dekar ab tak hazaaron rupaye doosre developers ko de chuke ho. Samay rehte agar fazool si zero-kaata waali app bhi bana di hoti to ab tak lakhon kama chuke hotey.

Isse pehle ki talent-heen honey ka pallu pakdo, ye sun lo ki aaj insaan ko talented nahin bas minimum denominator pleasing hona kaafi hai. Low hanging fruit yaani neeche latakta phal samjhte ho na ?
Ab us Ranveer Singh ko dekho. I mean mat hi dekho, kyon haazma kharaab karna lekin socho zara. Wo Ameeron ka Raju Srivastava aaj one of top rated ‘actors’ mein hai aur Deepika ka boyfriend ban kar zindagi ke maze le raha hai. Tum yahi sochte reh gaye ki hero banne ke liye Hrithik jaisi body aur Shah Rukh jaisi akal honi chahiye. Saale kuchh 3 kilo wazan kam kar ke chaddi baniyaan ke ad mein bhi photo dalwa dete to shayad koi B Subhash type B grade producer tumhey gunde ka role de hi deta. Kam se kam koshish to karte.

Wo bhi hatao. Suna hai sur ki kuchh samajh hai tumhey aur awaaz bhi bohot buri nahin hai. Jab koi dhinchak pooja blackboard par kaanch ghaseetne si awaaz mein gaakar lakhon kama gayi, tab tum kahaan they be?

Aur kabhi kabhaar likh bhi lete ho tum, hai na? Maana kahin ke Premchand ya Prasoon Joshi nahin lekin vocabulary, sense aur grammar to theek thaak hi laga lete hoge. Ab jao dekho un Bloggers ke followers ko jo copy, paste mein PHD kiye baithe hain.
Nalaayak aaj agar sirf video game khelne ka video bhi daal do to ye akal ke physically challenged youth log aise cheetiyon ki tarah chimadh padhte hain.

Wo bhi jaane do. Aaj har Tom ka Dick aur uski Hairy Ass crypto currency bhaj kar bhaari tadaad mein note bator rahi hai. Tum sochte raho bhaiya ki Bitcoin lene hai ya mine karne hai.

Sachhayi ye hai dost ki tumse na hoga. Na ab tak hua hai aur aise hi rahe to aage bhi na hoga. Ye khula patra ko print kar ke apne aainey (mirror) par laga daalo aur roz subah shaam isse nazarein milao. Socho, samjho, seekho. Quality ke maapdand ko todh daalo aur sheeghra se sheeghratam, cheap se cheaptam kuchh to kar daalo. Khuley patra ko shuruaat hi samjho.

No comments: